Sunday, 27 October 2013

Hum katha sunate ram sakal gun dham ki lyrics

Hum katha sunate Ram sakal gundham ki, yeh Ramayan hai punya katha Shri Ram ki
Hum katha sunate Ram sakal gundham ki, yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki
Jambu dweepE,Bharat KhanDE, AryavartE, Bharat varshE, ek nagari hai vikyat Ayodhya naam ki
Yehi janma bhoomi hai param pujya Shrii Ram ki...hum katha sunate Ram sakal guN dham ki
Yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki...... yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki
Raghukul ke Raja dharmatma ,chakravarti Dashrath punyatma; Santati hetu yagya karvaya, dharm yagya ka shubh phal paya.....
nrip ghar janme char kumaraa ,Raghukul deep jagat adhaara...charon bhratonke shubh naama: Bharat Shatryghna Lakshman Rama...
Guru Vashishtha ke gurukul jaake alpa kaal vidya sab paake, puran huyi shiksha Raghuvar puran kaam ki.....yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki
(Narrator)
Mruduswar, komal bhavana, rochak prastuti dhang.....ek ek kar varnan kare Lav-Kush ,Ram prasang;
Vishwamitr mahamuni raayi, inke sang chale do bhai; Kaise Ram Tadka ,kaise naath Ahilya taari;
Munivar Vishwamitra tab sang le Lakshman, Ram; Siya swayamvar dekhne pahunche Mithila dham........
Lav-Kush singing:
Janakpur utsav hai bhaari,Janakpur utsav hai bhaari....
Apne var ka chayan karigi Sita sukumari.....Janakpur utsav hai bhaari,
Janak raj ka kathin praN suno suno sab koi.....jo toDe Shiv dhanush ko, so Sita pati hoye
Jo toRe Shiv dhanush kathoR ;sab ki drishti Ram ki oar; Ram vinayguN ke avtaar, guruvar ki aagya siroddhar..
Sehej bhaav se Shiv dhanu to~da....Janak Suta sang naata jo~Da.....
Raghuvar jaisa aur na koi..Sita ki samata nahi hoyi , jo kare parajit Kaanti koti Rati-Kaam ki hum katha sunate Ram sakal guNdham ki
Yeh Ramayan hai puNya katha Siya- Ram ki
Sab par shabd mohini daali mantramugdha bhaaye sab nar naari, yun din rain jaat hai beetE Lav-Kush ne sab ke mann jeetE.....
Van gaman, Sita haran, Hanumat milan, Lanka dehen, Ravan maran phir Ayodhya punaraagaman.......sab vistar Katha sunaayi ;Raja Ram bhayE Raghuraai
Ram-Raj aayo sukh daayi, sukh samriddhi Shrii ghar,ghar aayi......
Part2
Kaal chakra ne ghatna kram me aisa chara chalaya,
Ram Siya ke jeevan mein Ghor andhera chaaya!!
Avadh mein aisa.........aisa ek din aaya nishkalank pe praja ne mithya dosh lagaya!! avadh mein aisa .aisa ek din aaya
Chadi Siya jab toDke sab sneh-naatae moh ke...pashaN hridayonmein na angaare jagE vidhroha ke,
Mamtamayi maaonke aanchal bhi simat kar reh gaye, Gurudev gyan aur neeti ke sagar bhi ghat kar rehgaye....
Na Raghukul na raghukul nayak, koi na hua Sia ka sahayak...
Maanavta ko kho baithe jab sabya nagar ke vaasi, tab Sita ko hua sahayak van ka ek sanyaasi....
Un rishi param udaar ka Valmiki shubh naam, Sita ko aashray diya, le aaye nij dham..
Raghukul mein kul-dep jalaye..Ram ke do sut,Siya ne jaayE.....
Kush-Lav naarating plight of Sita:
Kush : Shrota gaN, jo ek raja ki putri hai, ek raja ki putrvadhu hai aur ek chakravati samrat ki patni hai,
Lav: wohi maharani Sita, vanvaas ke dukho mein apne dino kaise kaat ti hai
Kush: apne kul ke gaurav aur swabhimaan ki raksha karte huye kisi se sahayta maange bina kaise apna kaam woh swayam karti hai...
Lav: swayam van se lakdi kaant ti hai, swayam apna dhaan kooTti hai swayam apni chakki peesti hai
Kush: aur apni santaanonko swavalambi banane ki shiksha kaise deti hai ab uski karuN jhaani dekhiye.
Janak dulari kulavadhu dasharath ji ki raj rani ho ke din van mein bitati hai......
Rehti thi gheri jise das- dasi aatho yam ,daasi bani apni udaasi ko chupati hai...
Dharam praveena sati param kulina sab vidhi dosh-hina jina dukh mein sikhati hai
Jagmata hari-priya Lakshmi swarupa Siya koonti te hai dhaan, bhoj swayam banati hai;
Kathin kulhaDi leke lakdiya kaant ti hai , Karam likhe ko par kaant nahi paati hai...
phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha dukh bhari jeevan woh uthathi hai
Ardhangi Raghuveer ki woh dharE dheer, bharti hai neer, neer jal mein nehlati hai
jiske prajake apvaadon kuchakra mein peesti hai chaaki ,swabhiman bachati hai....
Paalti hai bachchonko woh Karmayogini ke bhaati, swavalambi safal banati hai
aisi Sita mata ki pariksh leti niThur niyati ko daya bhi nahi aati hai...O...us dukhiya ke raj-dulaare...
Hum hi sut Shrii Ram tihaare.... O....Sita maa ki aankh ki taarE...EE ... Lav-Kush hai Pitu naam hamare....
he pitu bhagya hamare jaage , Ram katha kahe Ram ke aage......

5 comments:

  1. Mann ko shaanti dene wala song.. Jb b song ko sunti yaa gaati hun rongte khade ho ajate h aur aankh se aansoo aane lgte h..ravinder ji ko koti koti naman.. Rip his soul in peace

    ReplyDelete